Dedicated to my all neighbors - [ Left my room today 10-Aug-2013 ]
Aaj fir ek ghar chod aaya . . .
Aaj fir kuch galiya aur makan jaha reh raha tha main,
Apna sa tha jo unhe nam aankho se dur kar aaya . . .
Aaj fir kuch rishte jo bane the pichle 2 saalo main,
Unse fir milne k vaade kar aaya . . .
Pyaar, Apnapan, Fikra Meri jo mili thi mujhe es mohalle main,
Unko na jaane ab nayi jagha pa sakunga,
Ye ek naya khalipan main dil main le aaya . . .
Unme se kuch samajhte na the wo meri juba,
Na main samajh pata tha unki juba,
Fir bhi samajh jaate the ho k bejuba,
Aise rishto se aaj dur ho aaya . . .
Rahange hamesha is dil main wo sab,
Jinke pyaar, apnapan ko bhulunga na kabhi main,
Unnhe sar-aankhon pe bithakar kar le aaya . . .
Aaj fir ek ghar chod aaya . . . !!!
- Prabhat Thapa
Leave a Comment